Friday, April 22, 2011


KHUSHI KA GHUM HAI


Khushi ka Ghum hai,na Ghum ki koi Khushi ab To !
Bohat Udaas Guzarti hai Zindgee Ab To !

Tere Bagair bhi Dil ki Tasaliun ke liye
lk intzaar ki Sham thi, So dhal chuki ab To !

lk Ashna ke bicharne se koi Nahi badla
Hawa-e-Shehar bhi Lagti hai Ajnabi ab To !

Tamam Raat Rahi Dil mein Roshni ki Lakeer
Misaal-e-Shama Sehar Wo bhi Jal bujhi ab To !

Chali thi jin se yehaan Rasm-e-Khudnahedari
unhei n Azeez hua Zikr-e-Khudkoshi ab To !

Kaha Gaye Wo Wo Ajnabi Chehray
Ujaarh si Nazar Ati hai , har Gali ab To !

No comments:

Post a Comment