Thursday, April 21, 2011

MAIN TO MOHABBAT HOON

 MAIN TO MOHABBAT HOON
Main saahil pe likhi hoi ibaarat nahi
jo lehro se mit jaati hai

main baarish ki barasti boond nahi
Jo baras kar tham jaati hai

Main woh ek khawab nahi
Jise dekha aur bhoola diya

Main woh ek shama nahi
Jise phoonka aur bujha diya

Main hawa ka woh jhonka nahi
Jo aya aur guzar gaya

Main chand bhi nahi
Jo raat ke baad dhal jaye

Main to woh ahsaas hoon
Jo tujh main lahoo ban ker gardish kare

Main to woh rang hoon
Jo teray dil pe chadhe to kabhi na mite

Main woh geet hoon
Jo tere labo se juda na hoga

Khwab ibaarat hawa ki tarah
Chand boond shama ki tarah

Mere mitne ka sawaal nahi
kyu ki MÄÏN TÖ MÖHÄßÄT HÖÖN

No comments:

Post a Comment